Sunday, July 18, 2010

Alvida

Likh kar kucch alfaaz shekhar ek shaayar ho gaya
Unn alfazon ka manzar
Un alfaazon ka samajh
Sirf uski seeney mein kho gaya

Chala jo kalam pannon par
Sihayi bhi kab ki sookh chuki
Ab tho har pannon main aks hain
Un ansoo ke..
Jo yaad mein tere Ro gayaa

Aaj seene mein chubha kar Kalam ko..
Ek kalaam who likhta hai..
Samajh lo jahaan woh tere khatir..
Tere jahaan se ab woh gaya

Jaane do ki abb saans bhi uskey tham rahey
Likhte likhte nikal chuka jho bhi uskey Gam rahey..
Ankhey uski bandh ho rahi hain..
Ungliyaan bhi tham rahey..
Alvida Likh kar aaj shekhar So Gaya.

1 comment: